"Sab sy kam darjy ka jannti woh hoga 

ky ALLAH taala uska chahra jahanum 

sy phair kar jannat ki taraf kar dega aur 

usko aik saaya dar darakht dikhaye ga usey dekh kar woh aadmi kahy ga: 

Ay mery RAB mujhy is darakht ky qareeb kar dy taaky main is ky saaye taly ho joun...!!!"

Isky baad mukamal hadees ha jis mein us shakhs ky jannat mein dakhil hony aur uski aarzoun ka tazkira ha aakhir mein yeh alfaz hain:

 Jab uski tamam aarzoein khatam ho jein gi to ALLAH taala farmaein gy:
  "Tujhy yeh sab kuch aur iska das gunah mazeed diya jata hai." Aap S.A.W Ny farmaya:
    
Phir woh jab apny ghar jannat mein dakhil ho jaye ga to do moti moti aankhon
 wali horein bewiyan ban kar usky pas aaien gi aur kahein gi ALLAH ka shukar ha
 jis ny tujhy hamary liye paida kiya aur hamein tumhary liye paida kiya woh shakhs
 yeh sab kuch dekh kar kahy ga ALLAH ny kisi ko itna ziyada nahi diya jitna mujh 
ko diya hai...!!!"
loading...

0 Comments Blogger 0 Facebook

 
The Stylish Life © 2013. All Rights Reserved. Share on Blogger Template Free Download. Powered by Blogger
Top